Agar woh hota jo mein chata
tu kiya phir hota, woh jo ho gaya
Tum bhool gaey, mein bhool gaya
Tum rooth gaey, mein kho gaya
Jahan chalta raha, zindagi guzarti rahi
mein chul para aur tum waheen rahi
hum nay shayad khoshish bhi ki
kuch yaad rahi kuch baat hui
pur waqt humara dost na tha
tumhari subha mein mera sooraj na tha
meri ratoon mein tumhari chandni na thi
jo baat wahan mein shayad keh dayta
yahan kehtay kehtay reh gaya
Jin bahoon ko shayad thaam sakta
unko dekhnay say bhi reh gaya
phir yeh suna kay koi aur hai
tumharay khwaboon mein tumhari batoon mein
tumhari muskurahat mein uska naam hai
aur tum mein jaisay uss ki jaan hai
jub yeh suna tu mein huns para
kuch apanay aap pur, kuch waqt pur, aur kuch jazbat pur
aur hunstay hunstay mein nay socha
Kay agar woh hota jo mein chata
tu kiya phir hota, woh jo ho gaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Reminds me of the bluesy and dreamy gup shup overseeing the KDA hills. Nostalgia reigns supreme eh?
Post a Comment